dil ki ab kyon khabar nahin aati kaam kyon chashm-e-tar nahin aati jaane kis haal mein hain ahl-e-nazar ab kisi ki khabar nahin aati kya hua gardish-e-zamana ko baad-e-shab kyon sahar nahin aati ashk aaen to badh ke daman tak aah lab tak agar nahin aati kya sazaon pe sirf qadir ho surat-e-dar-guzar nahin aati ab nigar-e-ghazal 'ziya' koi bhul kar bhi idhar nahin aati