bahr-e-ulfat ka kahin koi kinara hi nahin dasht-e-furqat ka dil-afroz nazara hi nahin ab na tadpao mujhe chaaragari ki khatir aa bhi jao ki mujhe zabt ka yara hi nahin main ne paiman-e-wafa bandh liya hai us se jis ko ek lamha mera sath gawara hi nahin milte hi pher lin is tarah nigahen sab ne aisa lagta hai koi un mein hamara hi nahin apni aashufta-sari ka jo mudawa karta asr-e-hazir mein koi aisa sahaara hi nahin aisa kya tha ki payambar use kahti duniya dast-e-mani ne koi naqsh ubhaara hi nahin hum ne 'bismil' gham-o-alam se bai'at kar li ma-siwa in ke kisi ko bhi pukara hi nahin