apne hazar rang badalne lagi hai sham sher-o-sukhan se aaj bahalne lagi hai sham phir apne rang-o-rup badalne lagi hai sham soz-e-gham-e-firaq mein jalne lagi hai sham tanhaiyon ka shahr ab us ka nasib hai jam-e-shab-e-firaq mein dhalne lagi hai sham aa jao intizar ke lamhon ko tod kar warna khayal-e-kham mein palne lagi hai sham ahl-e-chaman se kah do bahaaron ke din gae ab bu-e-ru-e-gul ko kuchalne lagi hai sham suraj ka khun rang-e-shafaq aur ru-e-shab fikr-o-nazar ki god mein palne lagi hai sham ek chashm-e-intizar se milta hai ye jawab mehr-o-wafa ka rang nigalne lagi hai sham bazm-e-tarab mein dekhiye dipak ki tan par ru-e-ufuq pe shoala ugalne lagi hai sham