bahr mein daere to honge hi pyar mein waswase to honge hi khwab tha us ki shokh aankhon ka khwab ke zawiye to honge hi roz tum phul-ban mein jate the laziman gul khile to honge hi ye koi ishq to nahin hai huzur job hai masale to honge hi dil hai viran to rah nahin sakta dard is mein base to honge hi ye mohabbat hai dosti to nahin mazarat shukriye tau honge hi jab mohabbat pe baat ki tum ne log tum par hanse to honge hi bhagte waqt ke kai lamhe camere se khinche to honge hi aap gadi badhaiye apni road par hadse to honge hi sach zara hausle se suniyega lafz kuchh khurdure to honge hi aap jab dekhte hain aaina aaine dekhte to honge hi ho na ho is ghazal mein kaifiyyat munfarid qafiye to honge hi taza-kari ki mashq jari hai sher mein chutkule to honge hi