bahs mein donon ko lutf aata raha mujh ko dil main dil ko samjhata raha un ki mahfil mein dil-e-pur-iztirab ek shoala tha jo tharraata raha maut ke dhoke mein hum kyun aa gae zindagi ka bhi maza jata raha na-shagufta hi rahi dil ki kali mausam-e-gul bar-ha aata raha jab se tum ne dushmani ki ikhtiyar e'tibar-e-dosti jata raha apni hi zid ki dil-e-betab ne un ke dar tak bhi main samjhata raha jaur to ai 'josh' aakhir jaur hai lutf bhi un ka sitam dhata raha