aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani aise pani ko main hargiz na kahunga pani na rahe aankh mein bhi dil se nikal kar aansu ja-ba-ja un ko liye phirta hai dana pani haal puchho na mere girya-e-gham ka mujh se us ke kahne se bhi hota hai kaleja pani soz-e-gham hi se meri aankh mein aansu aae sochta hun ki ise aag kahun ya pani tark-e-mai-khana gawara na karunga hargiz ras hai meri tabiat ko yahan ka pani kar diya sab ko tere tir-e-nazar ne sairab jis ke sine pe laga us ne na manga pani aish dam bhar ka bhi dekha nahin jata us se charkh-e-kam-bakht ki aankhon mein na utra pani tere hi jalwe se hai bagh-e-tamanna ki bahaar yahi tanwir hai aaina-dil ka pani khalish-e-gham se kiye jaun kahan tak nale meri qismat mein to har roz ye iza pani dub jate hain umidon ke safine is mein main na manunga ki aansu hai zara sa pani zabt-e-girya se badhi aur musibat ai 'josh' dil ye kahta hai ki ab sar se hai uncha pani