bahs uski meri waqt-e-mulaqat baDh gai

bahs us ki meri waqt-e-mulaqat badh gai
baaten huin kuchh aisi ki bas baat badh gai

bola na murgh-e-subh na aai sada-e-ah
ya-rab shab-e-firaq ki kya raat badh gai

islah bhi zaruri hai ab is ki shaikh-ji
dadhi tumhaari qibla-e-hajat badh gai

pahunche tha apna dast-e-hawas jis pe gah gah
wo shakh-e-mewa-dar bhi haihat badh gai

shimla rakha jo dosh pe langur ki si dum
kya is mein shaikh-ji ki karamat badh gai

jis din se un pe parda-e-poshidgi pada
us din se qadr-e-alam-e-jinnat badh gai

din galiyan jo tu ne sanam ek gharib ko
kya galiyan diye se teri zat badh gai

de 'mushafi' ko neamat-o-daulat tu ai karim
ta sab kahen ki us ki ab auqat badh gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close