wada-e-wasl aur wo kuchh baat hai

wada-e-wasl aur wo kuchh baat hai
ho na ho is mein bhi koi ghat hai

khalq nahaq darpai-e-isbaat hai
hai dahan us ka kahan ek baat hai

bosa-e-chah-e-zankhdan ghair len
dub marne ki ye ai dil baat hai

ghar se nikle ho nihatte waqt-e-qatl
ye bhi bahr-e-qatl-e-ashiq ghat hai

main ne itna hi kaha banwao khat
ye bigadne ki bhala kya baat hai

baad muddat bakht jage hain mere
baithe hain sone ko sari raat hai

kya karun wasf-e-butan-e-khud-pasand
in se badh kar bas khuda ki zat hai

baaton baaton mein jo main kuchh kah gaya
hans ke farmane lage kya baat hai

harf-e-matlab saf kah sakta nahin
hai adab mane ki pahli raat hai

mujh se ho izhaar-e-ulfat wah-wa
aap ke farmane ki ye baat hai

ro rahe hain hum mila de lab se lab
mai-kashi ho saqiya barsat hai

zach hai teri chaal se raftar-e-charkh
mohr-e-rukh se bazi-e-mah mat hai

kaisi katti hai siyah-bakhti mein umr
raat se din din se bad-tar raat hai

chhedta hai dil ko kya ai dard-e-hijr
khud giraftar-e-hazar-afat hai

ai ghani de sim-o-zar waqt-e-bala
mal-e-duniya jaan ki khairaat hai

gar jagah dil mein nahin phir is se kya
ye doshambe ki ye budh ki raat hai

saf kah de tu yahan aaya na kar
yar ye sau baat ki ek baat hai

lakht-e-dil hain mere khane ko 'amir'
bas inhin tukdon pe ab auqat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close