bahta hai koi gham ka samundar mere andar chalte hain teri yaad ke khanjar mere andar kohram macha rahta hai aksar mere andar chalti hai tere nam ki sarsar mere andar gumnam si ek jhil hun khamosh faramosh mat phenk are yaad ke kankar mere andar jannat se nikala hua aadam hun main aadam baqi wahi laghzish ka hai unsur mere andar kahte hain jise sham-e-firaq ahl-e-mohabbat thahra hai isi sham ka manzar mere andar aaya tha koi shahr-e-mohabbat se sitamgar phir laut gaya aag jala kar mere andar ehsas ka banda hun main ikhlas ka shaida hargiz nahin hirs-o-hawas zar mere andar kaise bhi hon haalat nimat leta hun hans kar sangin nataej ka nahin dar mere andar main pure dil-o-jaan se ho jata hun us ka kar leta hai jab shakhs koi ghar mere andar main kya hun meri hasti hai majmua-e-azdad tartib mein hai kaun sa jauhar mere andar kudhta hai kabhi dil kabhi ruk jati hain sansen har waqt bapa rahta hai mahshar mere andar ham-shakl mera kaun hai ham-zad-o-hamraaz rahta hai koi mujh sa hi paikar mere andar jab jab koi uftad padi khul gaya 'kashir' ilham ka ek aur naya dar mere andar