nazar ki kya kahen ab to jigar bhi ho gae patthar

nazar ki kya kahen ab to jigar bhi ho gae patthar
kahan bu-e-wafa khoi ki ghar bhi ho gae patthar

khuda tab bebasi mein shab sahar roya yaqinan hai
gulon se khilkhilate jab shajar bhi ho gae patthar

badi ummid le kar main chali aai suno pyare
magar thi kya khabar diwar-o-dar bhi ho gae patthar

mulamma waqt ka chadhta gaya kyun is qadar bolo
ki patthar ko hansa kar ba-hunar bhi ho gae patthar

bhara hai zahr dil mein kis ne tere bol de itna
asar aisa mohabbat ke nagar bhi ho gae patthar

hawa jhonka nahin lai kabhi kya meri yaadon ka
kahan hai dafn rauzan ishq tar bhi ho gae patthar

nadi ka sath dene ki tadap pali samundar ne
nibhana khel samjha to mukhar bhi ho gae patthar

yaqin karna hua mushkil qasam tute sitare ki
wahi tum bin yahi shams-o-qamar bhi ho gae patthar

sada hi naz tha tujh pe mujhe ai dost meri jaan
kiya kyun war dil pe hi 'adhar' bhi ho gae patthar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close