bahta hua dariya hun kahin par tha kahin hun main lamha-e-maujud ka paband nahin hun wabasta hun ek silsila-e-ishq se lekin main chaak-e-gareban hun na main khak-nashin hun ai dil-zadaganon ke masiha mujhe batlao kya main teri fihrist-e-dil-o-jaan mein kahin hun makhsus hai jo sirf tere husn-e-nazar se us aankh se dekhe koi mujh ko to hasin hun dildar nigahon ke ishaaron se bala le main teri pahunch se abhi bahar bhi nahin hun hai ab bhi wahi dil ke dhadakne ki kahani tu mujh ko jahan chhod gaya tha main wahin hun