dil sard ho gaya hai tabiat bujhi hui ab kya hai wo utar gai naddi chadhi hui tum jaan de ke lete ho ye bhi nai hui lete nahin sakhi to koi chiz di hui is tute phute dil ko na chhedo pare hato kya kar rahe ho aag hai is mein dabi hui lo hum bataen ghuncha-o-gul mein hai farq kya ek baat hai kahi hui ek be-kahi hui khun-rez jis qadar hain wo rahte hain sar-nigun khanjar hua katar hui ya chhuri hui 'shair' khuda ke waste tauba ka kya qusur hai kis ke munh se phir ye subuhi lagi hui