bahte hue ashkon ki rawani nahin likkhi main ne gham-e-hijran ki kahani nahin likkhi jis din se tere hath se chhuta hai mera hath us din se koi sham suhani nahin likkhi kya jaaniye kya soch ke afsurda hua dil main ne to koi baat purani nahin likkhi alfaz se kaghaz pe sajai hai jo duniya juz apne koi chiz bhi fani nahin likkhi tashhir to maqsud nahin qissa-e-dil ki so tujh ko likha teri nishani nahin likkhi