zindagi ki raushni ke istiare khwab hain dekhiye tabir kya ho kitne pyare khwab hain bukhl hai karte nahin khwabon ki khushiyon mein sharik aao hum dete hain tum ko jo hamare khwab hain jin ki aankhen thi haqiqat ke tajassus mein magan un ka daman dekhiye sare ke sare khwab hain jagte mein so raha tha un ke jazbon ka shuur nind us ki hai magar us mein hamare khwab hain be-sukun lamhon mein sona hai giran ehsas ka qarz hai tabir un ki jo udhaare khwab hain so gaya tha waqt ke neze pe sar rakkhe hue main ne ye kaisi bulandi se utare khwab hain hum haqiqat mein guzar jaenge khwabon ki tarah raushni, zulmat, mah-o-khurshid sare khwab hain