bahte hue lamhon ki kahani hi badal de dariya to badalta nahin pani hi badal de ya ghar ko mere daulat-e-aram-o-sukun bakhsh ya aarzu-e-naql-makani hi badal de kya us se karen zahmat-e-takrar ki jo shakhs alfaz ke mahfum-o-maani hi badal de tarmim-o-tanwwo hai kahani mein zaruri raja to badalta nahin rani hi badal de us ghar ki taraf us ki nishani pe chale ho 'mohsin' wo agar ghar ki nishani hi badal de