fasl-e-gul fasl-e-khizan jo bhi ho khush-dil rahiye koi mausam ho har ek rang mein kaamil rahiye mauj o girdab o talatum ka taqaza hai kuchh aur rahiye mohtat to bas ta-lab-e-sahil rahiye dekhte rahiye ki ho jae na kam shan-e-junun aaina ban ke khud apne hi muqabil rahiye un ki nazron ke siwa sab ki nigahen utthin mahfil-e-yar mein bhi zinat-e-mahfil rahiye dil pe har haal mein hai sohbat-e-na-jins haram haif-sad-haif ki na-jinson mein shamil rahiye dagh sine ka dahakta rahe jalta rahe dil raat baqi hai jahan tak mah-e-kaamil rahiye jaaniye daulat-e-kaunain ko bhi jins-e-haqir aur dar-e-yar pe ek bose ke sail rahiye aashiqi shewa-e-rindan-e-bala-kash hai miyan wajh-e-shaistagi-e-khanjar-e-qatil rahiye