bahut aasan hai baam-o-dar banana

bahut aasan hai baam-o-dar banana
bahut dushwar lekin ghar banana

agar dil ko masarrat ki talab ho
to is ko ranj ka khugar banana

na sah pao agar patthar ki choten
to shishe ka na hargiz ghar banana

ab is andaz se hum kyon na sochen
ki hai is nasl ko behtar banana

haden aafaq ki milti hon jis se
dayar-e-fikr mein wo ghar banana

agar patthar hi puje ja rahe hon
to phir lazim hai dil patthar banana

nishan milna ho jab manzil ka mushkil
to apne dil ko phir rahbar banana

koi baaton ka hasil hi na ho jab
to kya baaton ko dard-e-sar banana

'sahar' jo tarjuman-e-jazb-e-dil ho
banana to wahi paikar banana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close