diya hai dard jo tu ne to phir dawa bhi to de

diya hai dard jo tu ne to phir dawa bhi to de
ab is kharabe mein jine ka hausla bhi to de

tere aqab mein chale sara qafila lekin
tu rahnuma hai to manzil ka kuchh pata bhi to de

baja ki pakde to jate hain roz hi mujrim
gunahgaron ko qanun kuchh saza bhi to de

baghair sud ke dete nahin hain bhik bhi log
ye chahte hain ki sail koi dua bhi to de

wo jaanta hai ki bar-e-garan hai ranj-e-firaq
tu aa ke sine se patthar mere hata bhi to de

dikhai deta hai jis mein zamir ka chehra
'sahar' ke chaaragaron ko wo aaina bhi to de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close