bahut dinon se khula dar talash karta hun main apne ghar mein khada ghar talash karta hun palak pe qatra-e-shabnam uthae sadiyon se tere karam ka samundar talash karta hun nazar mein jit ki tasdiq ka sawal liye gali gali mein sikandar talash karta hun badan badan se khulus-o-wafa ki khushbuen main sungh kar nahin chhukar talash karta hun labon ki pyas bujhane ke waste saqi kisi buzurg ka saghar talash karta hun jawaharaat ke ek dher par khada ho kar nai pasand ka patthar talash karta hun tu aandhiyon ke tashaddud ki baat karta hai main apne tute hue par talash karta hun