kyun kar na aise jine se ya rab malul hun jab is tarah adam ka bhi main na-qubul hun kya khub mere bakht ki mandwe chadhi hai bel na bagh na bahaar na kanta na phul hun is ishq mein hi kat gai sab umr par hunuz na llaiq-e-firaq na bab-e-wasul hun tale ki mere dekhiye phuli hai kya bahaar anwa khar khar se main jun babul hun 'agah' ab kisi ki shikayat main kya karun dekha jo khub aap hi apna main mul hun