bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja aur ab to khas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun ki ruh tere liye sakht be-qarar hai aa ja guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se magar abhi to tera sab pe ikhtiyar hai aa ja wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja ghazal ke shikwe ghazal ke muamlat juda hain meri hi tarah se to bhi wafa-shiar hai aa ja badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja