dholaki dham-dhami khanjri bhi bajaani jaani tan ki jaan magar tum ne na jaani jaani hil gae mil gae an-jaanon se jun jaan pahchan par meri qadr zari tum na pahchani jaani lag chale jo ki raqibon ne lagaya tum ko sanchi aur jhuti koi baat na chhani jaani jo kaha main ne na tum ne kabhi dhar kan suna baat kya aisi meri tum ne diwani jaani man ne teri to mara hamein ab to man ja ye hatela nahin dekha koi mani jaani jaan-kani mein to zara aa ke dikhao didar jaan mar jaunga kahta hi main jaani jaani raat din ye jo suluk hum se kiya karte ho dil mein kya jaaniye kya tum ne hai thani jaani sarf ki apni tere ishq mein jaani sab umr 'azfari' ne na budhapa na jawani jaani