bahut dubli bahut patli hayati hoti jati hai chapati rafta rafta kaghzati hoti jati hai hamare gal bhi pichke hue amrud jaise hain aur un ki nak hai ki nashpati hoti jati hai mili hai hukmarani des ki jab parsaon ko to apni qaum kyon phir wardati hoti jati hai bajat us ka khasare ka aur apna bhi khasare mein hukumat bhi hamari ham-jamati hoti jati hai wo london mein makin hain aur main hun chechun ki malyan mein hamari dosti qalmi dwati hoti jati hai hamare darmiyan baithe hue hain afsar-e-ala tabhi to aaj apni chaudi chhati hoti jati hai