jafa ke zikr pe wo bad-hawas kaisa hai zara si baat thi lekin udas kaisa hai na jaane kaun fazaon mein zahr ghol gaya hara-bhara sa shajar be-libas kaisa hai meri tarah se na haq baat tum kaho dekho bala ka saya mere aas-pas kaisa hai ye faisla hai ki hum apne haq se baz aaen to phir ye lahja ye tira, iltimas kaisa hai wahi jo shahr ke logon mein tha bahut bad-nam wahi to aaj sarapa sipas kaisa hai main kya kahun ki main kyun dil se ho gaya majbur tum hi batao ki wo khush-libas kaisa hai