bahut dushwar hai taskin-e-zauq-e-rang-o-bu karna jo chun sakte ho kante to gulon ki aarzu karna jihad-e-zindagi mein ho jo khud ko surkh-ru karna jigar ko khak karna aur kabhi dil ko lahu karna kisi ko dekhne ki khwab mein jab aarzu karna nazar ko ashk-e-khun-e-dil se pahle ba-wazu karna khirad ka dijiye nam us ko ya diwangi kahiye gareban chaak karna aur daman ko rafu karna baghair-e-khu-e-taslim-o-raza jina kuchh aisa hai ki shughl-e-baada-noshi jaise be-jam-o-subu karna lage kyun kar jabin par apni dagh-e-minnat-e-qatil mujhe aata hai shamshir-e-sitam zeb-e-gulu karna sar-e-mizhgan chhalak kar aansuon ne dast-giri ki kahan mumkin tha warna sharh-e-harf-e-arzu karna ye aalam hai ki bar-e-khatir-e-sayyaad hai 'athar' dar-o-diwar-e-zindan se bhi mera guftugu karna