karam hai us ka koi bad-dua nahin lagti mere charagh jalen to hawa nahin lagti tumhaare pyar ki zanjir mein bandha hun main saza ye kaisi mili hai saza nahin lagti kisi se pyar karo aur tajraba kar lo ye rog aisa hai jis mein dawa nahin lagti agar zamana hai naraaz to rahe naraaz hamein kuchh is mein tumhaari khata nahin lagti ye zindagi jo tumhaari nazar mein kuchh bhi nahin meri nigah se dekho to kya nahin lagti faqir sare jahan ko duaen dete hain bas ek hamare hi dar pe sada nahin lagti