bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein bikhar ke khak hue ek zara si laghzish mein parind shakh pe tanha udas baitha hai udan bhul gaya muddaton ki bandish mein wo hath kya hue tamir raegan nikli makan gir gae mausam ki pahli barish mein jo qatl-o-khun ki aandhi chali to thamti kya sabhi sharik the basti ke log sazish mein kitab kholi to lafzon ke sath bahne lage ajab tilism tha us shakhs ki nigarish mein