jo is tarah liye phirta hai jaan hatheli par wo dekhna kabhi jaan se guzar hi jaega khayal hai koi udta hua parind nahin jahan bhi jaega be-baal-o-par hi jaega ye aasman jo azal se siwa rahe mujh par ye bojh bhi kahin sar se utar hi jaega main us ka chahne wala hun koi ghair nahin wo mere samne aa kar nikhar hi jaega wo kab kahega ki main ne lagai thi ye aag wo jab bhi samna hoga mukar hi jaega khila hua hai nazar mein gul-e-khayal koi 'khalil' aankh jo jhapki bikhar hi jaega