bahut hain zindagi mein gham suno khamosh kyon ho tum tumhaare ru-ba-ru hain hum suno khamosh kyon ho tum tumhaari khamushi par bas hamari jaan jati hai hamari zindagi hai kam suno khamosh kyon ho tum kaha tha tum ne aankhon mein ye duniya bhul jaoge tumhein kya khauf hai har dam suno khamosh kyon ho tum hamein de do udasi aankh mein kab tak chhupaoge bana denge ise shabnam suno khamosh kyon ho tum saja kar chand ka gajra ye pagli raat aati hai bikharti sans ki sargam suno khamosh kyon ho tum lahraate gul-mohar par ye utarti sanjh thahri hai badal jae na ye mausam suno khamosh kyon ho tum fasana dil ka kah lo aaj jaane kab milen hum tum charaghon mein abhi hai dam suno khamosh kyon ho tum