dil apna shab-e-hijr mein raat bhar latakta raha dard ke dar par chhuti teri chaukhat chhuta apna ghar mohabbat mein yun ho gae dar-ba-dar kabhi ho hi jaenge gham se riha kabhi mil hi jaegi apni khabar taghaful se badhti hain ruswaiyan zara hum pe bhi daliye ek nazar hua apne hi hath se apna khun hua ishq ka marka khub sar mohabbat mein 'shahid' ko ras aas ka na gulshan na sahra na masjid na ghar