bahut hansa tha bahut udasi se bhar gaya hun main yar khilne ke mausamon mein bikhar gaya hun tumhaare jaane se zahiran kuchh nahin hua hai main jaanta hun magar main andar se mar gaya hun tu apne kaamon mein kitna masruf ho gaya hai main is judai pe sabr aane se dar gaya hun kisi pe tohmat nahin lagai kisi ki khatir yahi wajah hai bahut dilon se utar gaya hun mujhe mohabbat ka wasta de ke mat pukaro main is talluq ki sarhadon se guzar gaya hun