dast-e-qatil ko mohabbat ka sabab karte hain hum diye hain jo hawaon ka adab karte hain kis aziyyat se guzarte hain kabhi soch ke dekh log jo nind nahin maut talab karte hain khwab mahbub dharam nam sabhi kuchh kho kar khud-kushi gar nahin karte to ghazab karte hain yun to wahshat hai ya ghussa hai hamari pahchan han magar pyar bahut karte hain jab karte hain aah ko qahqaha karne ka hunar jaante hain matami rang ko hum rang-e-tarab karte hain hum se logon ko hi majzub kaha jata hai yar ke nam ko jo nam-o-nasab karte hain