bahut hasin yahan ki faza lage hai mujhe dayar-e-yar to jannat-numa lage hai mujhe har ek rang mein jalwa-numa lage hai mujhe jamal-e-dost jamal-e-khuda lage hai mujhe kisi ki zulf ka jis din se pad gaya saya tamam jism mahakta hua lage hai mujhe main jab bhi tere tasawwur mein dub jata hun mera wajud tera aaina lage hai mujhe sar-e-niyaz jhukaun kahan kahan aakhir har ek naqsh tera naqsh-e-pa lage hai mujhe tere khayal ke daman ko tham leta hun mera safina jahan dubta lage hai mujhe mere habib ke kuche ki khak ka 'nayyar' har ek zarra dur-e-be-baha lage hai mujhe