bahut hi khas kahna hai hamein ek aam ke bare karenge subh baaten ek biti sham ke bare fusun hai ye nazar ki had hai sara jhut nikla hai jo tum kahte rahe the charkh-e-nili-fam ke bare mujhe bhi sath le lena agar ho us taraf jaana meri bhi rae le lena jafa ke kaam ke bare hamein sikhla sakenge zindagi ke gur zamane ko sabhi aaghaz sikhe hain kisi anjam ke bare tumhein bas hum se ulfat hai ye dawa man len lekin tumhein hum kya bataen apne har hangam ke bare gareban chaak niklega nai rut mein yahi pahle suno muzhda tum apne lala-e-gulfam ke bare agar us ka talluq hai faqat mujh se to ai qasid wo kyon tahqiq karta hai tumhaare nam ke bare