bhulo sabhi mujhe mere pyaro nahin raha

bhulo sabhi mujhe mere pyaro nahin raha
ab main kisi ke kaam ka yaro nahin raha

jis ke sumon ki dhul safa ka ghubar thi
markab wo mere shah-sawaro nahin raha

charkhe samet chand ki budhiya guzar gai
wo chand meri aankh ke taro nahin raha

taswir ke bharam mein musawwir se mil liye
manzar ka e'tibar nazaro nahin raha

sab hosh-mand apne sahaare nikal pade
phir be-sahaara koi sahaaro nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close