bahut hi mo'atabar roya gham-e-shah mein agar roya falak se jab ghata barsi mera har baam-o-dar roya hua jab qatl parwana to qatil khud sharar roya hansa tha aasmanon mein zamin par kyon bashar roya sar-e-sahra bahut khush tha sar-e-dariya magar roya pake phal tod lene se khabar kab tak shajar roya na jaane kis jagah pahunche jahan khud par 'khizar' roya