har ek dard sanbhaala hai zindagani mein jhalak raha hai budhapa tabhi jawani mein mujhe to dhup se bhi is qadar na khauf aaya mila hai khauf jo ab teri saebani mein kabhi piya gaya us ko kabhi bahaya gaya koi bhi farq na tha khun aur pani mein use nazar ki bhala kaun si kahun manzil dikhai dene laga zard rang dhani mein zaban-daraaz to thahre magar yahi sach tha luta hai shahr ye teri hi pasbani mein mila na qatra-e-ab-e-baqa samundar se mili hai maut hamein shahr-e-jawedani mein ganwa ke umr jise hum sanbhaal lae the ganwa diya use ek baat ki rawani mein rukawaten hain ye raste ki ai 'khizar' nadan jinhen tu manzilen samjha hai be-dhiyani mein