bahut KHajil hain ki hum raegan bhi zinda rahe

bahut khajil hain ki hum raegan bhi zinda rahe
jahan pe tu bhi nahin tha wahan bhi zinda rahe

ajib shart hai is be-yaqin mizaj ki bhi
ki tu bhi pas ho tera guman bhi zinda rahe

tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hota
ki tu bhi zinda rahe dastan bhi zinda rahe

wo kaun log the jin ka wajud jism se tha
ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe

jo ye na ho to sukhan ka koi jawaz nahin
zamir zinda rahe to zaban bhi zinda rahe

ye kaenat faqat manfat ka nam nahin
koi yahan pe barae ziyan bhi zinda rahe

adam mein jo bhi nahin tha wo sab wajud mein tha
ye hum hi the jo kahin darmiyan bhi zinda rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close