bas dar-o-diwar mil jate hain ghar milta nahin

bas dar-o-diwar mil jate hain ghar milta nahin
aisa dastaron ka jamghat hai ki sar milta nahin

khwah donon sath mil kar tai karen ye fasla
ai hawa tujh ko bhi koi ham-safar milta nahin

qumqumon ki aanch ne pighla diye manzar tamam
chand ab koi kisi bhi baam par milta nahin

ek taqaza hun jo pura hi nahin hota kabhi
sach yahi hai aur is sach se mafar milta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close