bahut kuchh be-irada kar chuka hun ana se istifada kar chuka hun abhi bhi zindagi na-mehrban hai bahut lahje ko sada kar chuka hun mujhe to sabr ki aadat nahin thi magar had se ziyaada kar chuka hun na jaen gham ke mausam un ki marzi tabassum ko labaada kar chuka hun zamane-bhar ki yaro talkhiyon ko main khud ka khanwada kar chuka hun masarrat dur hai ab bhi ki main to bahut daman kushada kar chuka hun hamesha in ko main taza rakhunga main zakhmon se ye wada kar chuka hun wo baaten kar rahe hain jis safar ki main kab ka pa-piyaada kar chuka hun