bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya

bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya
ki lamha lamha khud ko bas sametne mein rah gaya

thahar ke jaane kya safar mein sochne mein rah gaya
chala to apne sath tha main raste mein rah gaya

wo sach ki shakl mein bharam ka de raha tha ek guman
ajib sa khayal tha jo hafize mein rah gaya

jo ji mein aaya zindagi wo baaten mujh se kah gai
idhar main soch soch kar hi bolne mein rah gaya

ek ajnabi se roz milna ho raha hai in dinon
na jaane kis ka chehra mere aaine mein rah gaya

mujhi mein thi tu zindagi to kyon kaha nahin mujhe
kahan kahan main tujh ko dekh dhundne mein rah gaya

kabhi to is ko ek lamha ji ke dekhta koi
zamana zindagi faqat guzarne mein rah gaya

usi ki justuju mein to laga hai aadmi magar
sukun use mila jo khud se rabte mein rah gaya

sadaen khud ko lakh din magar kahin mila nahin
pata chala ki main to khud ko bantne mein rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close