bahut kuchh mehnaton se ek zara izzat kamai hai andhere jhonpade mein raushni jugnu se aai hai tasadduq zindagi faqon pe us ke ahd-e-hazir mein ki jis ne jaan de kar aabru apni bachai hai hamein inkar hai baatil-paraston ki qayaadat se hamari zindagi ki har tamanna kar bulai hai khud apne shahr mein apna shanasai nahin koi na jaane justuju apni ye kis manzil pe lai hai ajab dastur hai 'sahil' ki is ahd-e-taraqqi mein bhalai mein burai aur burai mein bhalai hai