bahaar ban ke khizan ko na yun dilasa de nigahen pher le apni na khud ko dhoka de masaf-e-zist hai bhar de lahu se jam mera na muskura ke mujhe saghar-e-tamanna de khada hua hun sar-e-rah muntazir kab se ki koi guzre to gham ka ye bojh uthwa de wo aankh thi ki badan ko jhulas gai qurbat magar wo shola nahin ruh ko jo garma de hujum-e-gham wo raha umr bhar dar-e-dil par khushi isi mein rahi ye hujum-e-rasta de likha hai kya mere chehre pe tu jo sharmaya zaban se na bata aaina hi dikhla de main ladkhada sa gaya hun wafa ke wade par pakad ke hath mujhe ghar talak to pahuncha de sukut-e-anjum-o-mah ne chhupa liya hai jise jhuki nazar na kisi ko wo raaz batla de har ek dard ka darman hai log kahte hain magar wo dard 'naimi' jo khud masiha de