bahut lamba safar tapti sulagti khwahishon ka tha magar saya hamare sar pe guzri saaton ka tha saron pe hath apne ghar ki bosida chhaton ka tha magar mahfuz sa manzar hamare aanganon ka tha kisi bhi sidhe raste ka safar milta use kyun-kar ki wo masdud khud apne banae daeron ka tha kabhi hanste hue aansu kabhi roti hui khushiyan karishma jo bhi tha sara hamari hi hison ka tha khud apni kawishon se hum ne apni qismaten likkhin magar kuchh hath in mein bhi hamare dushmanon ka tha nae rishte muqaddas khwab se aawaz dete the magar aaseb sa dil par guzishta rabton ka tha kise milti najat 'azad' hasti ke masail se ki har koi muqayyad aab-o-gil ke silsilon ka tha