hamare ganw ki baaten nirali hi nirali hain kahin takkar nahin us ka sukunat mein suhulat mein na sar pe chhat ka saya hai na khane ko koi roti koi insan nahin dikhta haqiqat mein fazilat mein hue hain faisle jhute rahe wade adhure se bahut badlaw dekha hai adalat mein siyasat mein faqat do waqt hai aisa jahan man ro ke kahti hai mera beta rahe mahfuz hijrat mein musibat mein kabhi mazdur se puchho tumhaara haal kaisa hai kahega rah gaya hun bas thakawat mein to ghurbat mein badan par qimti kapde sawari baadshahon si bahut maghrur sahab hain riyasat mein hukumat mein sharabi ko kaho momin sahabi ko kaho kafir nahin hai farq koi kya najasat mein tahaarat mein mere walid ki kamzori batati ek haqiqat hai guzar jati hai sari umr mehnat mein mashaqqat mein jise apne baradar ki khabar-giri nahin aati na likhna nam un ka rab ukhuwwat mein atufat mein abhi to mafiyaon ke mazalim hi baraste the hukumat kyun muawin ban gai wahshat mein dahshat mein koi sani nahin 'irfan' ke haidar ka duniya mein fasahat mein balaghat mein kitabat mein khitabat mein