bahut latif hai ye mukhtasar jahan apna jigar-nawaz bhi tu tu hi raazdan apna tamam daulat-e-hasti luta ke mangunga bahaar-e-husn teri zauq-e-jawedan apna baham hue hain shanasa-e-yak-digar donon nigah-e-naz teri qalb-e-khun-chakan apna shafaq mein sina-e-gul mein junun ki wadi mein bata hai khun-e-jigar bhi kahan kahan apna ye aarzi hi sahi aab-o-rang-e-husn magar luta rahi hai khirad in pe karwan apna jabin-nawaz hai jalwon ki ye farawani kahan hai aaj sar-e-nang-e-astan apna nawazishat-e-guzishta ki ab khayali hain bana raha hun unhin se main gulistan apna ajib zauq-faza justuju ki lazzat hai bhatakne do bhi zara der karwan apna hazar kuchh na sahi musht-e-khak-e-insan mein uruj-e-arsh pe hai phir bhi aastan apna na sud hi na ziyan hi na ranj-o-rahat hai hai aql-o-hosh ke parde mein imtihan apna hain aashna-e-hawadis to khauf-e-barq hi kya dikha dikha ke banate hain aashiyan apna