bahut mazbut logon ko bhi ghurbat tod deti hai ana ke sab hisaron ko zarurat tod deti hai jhukaya ja nahin sakta jinhen jabr-o-adawat se unhen bhi ek ishaare mein mohabbat tod deti hai kisi ke samne jab hath phailati hai majburi to us majbur ko andar se ghairat tod deti hai taras khate hain jab apne sisak uthti hai khuddari har ek khuddar insan ko inayat tod deti hai samundar par ja kar jo bahut khush-haal dikhte hain ye un ke dil se puchho kaise hijrat tod deti hai nibhana dil ke rishton ko nahin hai khel bachchon ka ki in shishon ko ek halki si ghaflat tod deti hai