us ke apne darmiyan istada ek diwar main ek dasht-e-shadmani us mein ek aazar main main nahin tha tu hi tha aalam mein lekin tere baad ai khuda-e-izz-o-jal tera hua izhaar main shama se hai nur jaisa tera mera insilak warna tu bahti hawa hai phul ki mahkar main bakht ki sazish kahun ya phir mashiyyat ghaib ki tir-zan koi bhi ho lekin hadaf har bar main kal talak us ka raha tha dil ko mere ishtiyaq aaj wo nazdik hai par us se hun bezar main ek na ek din to musakhkhar us ko hona hai 'nadim' wo khalaon ka makin hai nur ki raftar main