bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar guzar ja wadi-e-pur-khar se baad-e-saba ho kar laga doge tamanna ke safine ko kinare se maaz-allah dawa-e-khudai na-khuda ho kar har ek ho silsila rangin gunahon ke salasil ka nahin aasan duniya se guzarna parsa ho kar meri pinhai-e-ilm-o-khabar ki intiha ye hai ki ek qatre se na-waqif hun dariya-ashna ho kar kahan tab-e-judai ab to ye mahsus hota hai ki main khud se juda ho jaunga tum se juda ho kar tera dar chhod dun lekin tere dar ke siwa saqi kahan jaun kidhar jaun zamane se khafa ho kar jo shikwa un se karna tha wo un ke ru-ba-ru 'darshan' zaban tak aate aate rah gaya harf-e-dua ho kar