chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin dekhne wali nigahon se wo mastur nahin kaun sa ghar hai jawan jalwon se pur-nur nahin ek mere dil ki hi duniya hai jo mamur nahin apni himmat hi se pahunchunga sar-e-manzil-e-shauq lun sahaara main kisi ka mujhe manzur nahin gham-e-jaanan ko bhula dun na karun dost ko yaad itna main ai gham-e-dauran abhi majbur nahin ye mohabbat ki hai qimat ye mohabbat ka sila ki hamare hi liye ishq ka dastur nahin donon aalam ko dubo de jo mai-o-mina mein chashm-e-saqi ke siwa aur ka maqdur nahin muskura do to mera ghuncha-dil khil jae dil kabhi khil na sake aisa bhi ranjur nahin tum nahin pas magar sath hai yaadon ka hujum main akela nahin bekas nahin mahjur nahin aaj kuchh sham se tarik hai dil ki mahfil tum nahin ho to wo raunaq nahin wo nur nahin mujh mein himmat hai ki main raaz ko ifsha na karun ye mera zarf hai ye shewa-e-mansur nahin kar sakega na juda fasla-e-waqt-o-makan dur nazron se sahi dil se magar dur nahin meri taqdir mein 'darshan' hain kisi ke jalwe shukr sad shukr ki duniya meri be-nur nahin